har
raat ke chand par hai noor apse. Har subha ki oas ko hai
guroor apse. hum kehna to nahi chahte par mar jayenge reh kar door apse |
aaj mosan mein ajib se baathai bekabo se humare khayalat hai ji chahat hai ki chura lun aapko aap hi se par mummy kehti haiki chori karna paap hai |
kal rat sapne me tari tasveer bana dali dil ko itni achi lagi ki senay se laga dali ya socha ki nazar na lag jaye kese ki hum ne ansuo se meta dali. |
TU HAIN MUJME SHAMIL MERE KHUN KI TARAH TERA TASAWWARE JIKR BHI KARU KIS TARAH CHAHE DOOR SAHI LEKIN TU HAIN IS DUNIYA MAIN TERI UMMID REHTE HUAE MAIN MARU KIS TARAH |
Jaan hai mujhko zindagi se pyaari, Jaan ke liye kar doon kurbaan yaari, Jaan ke liye todd doon dosti tumhaari, Ab tumse kya chhupaana, Tum hi toh ho jaan hamaari ! |
Tumse doori ka ehsaas sataane lagaa, Tere saath guzaraa har lamha yaad aane laga, Jab bhi tujhe bhoolne ki koshish ki aye dost, Tu dil ke aur bhi kareeb aane laga ! |
Zindagi nahin humein doston se pyaari, Doston pe haazir hai jaan hamaari, Aankhon mein hamaari aansoon hai toh kya, Jaan se bhi pyaari hai muskaan tumhaari ! |
Jasbaate ishq naakaam naa hone denge, Dil ki duniya mein kabhi shaam naa hone denge, Dosti ka har ilzaam apne sar par le lenge, Par dost hum tumhe badnaam na hone denge ! |
|
Dosti toh sirf ek ittefaaq hai, Yeh toh dilon ki mulaakaat hai, Dosti nahi dekhti yeh din hai ki raat hai, Isme toh sirf wafaadaari aur jasbaat hai ! |
Dosti achchi ho toh rang laati hai, Dosti gehri ho toh sabko bhaati hai, Dosti naadaan ho toh toot jaati hai, Par agar dosti apne jaisi ho…. …. Toh itihaas banaati hai ! |
Shaam hote hi ye Dil udaas hota hai Toote khwaboo ke siwa kuch na pass hota hai Tumahri yaad aise waqt bohat aati hai Bandar jab koi aas-paas hota hai.. |
Khuda Hi Khuda Idhar khuda hai, udar khuda hai, Jidar dekho udar khuda hai, idhar-udhar bus khuda hi khuda hai jidhar nahi khuda hai….udhar kal khudega! |
Pyaar Ise Kehte Hain Jawani ko zindage ki nikhaar kehte hain, pathjad ko chaman ka majdhaar kehte hain, Ajeeb chalan hain duniya ka yaaro, Ek Dhoka hain Jise hum sab “PYAAR” kehte hain ! |
Hathon se girr gaee lakiren kahin, Bhool aaye hum apni takdeer kahin, Agar tumhe mile to utha lena, Mere hisse ki har khushi hathon mein saja lena. |
Apke shehar ka mausam suhana lage, Apki ek shaam chura loon agar bura na lage, Ap chaho to bhula do mujhe, Par apko bhulane mein shayed humein zamana lage. |
Tumhari khushi hi se hi nahin, gham se bhi rishta hai humara, Ye jo tumhari zindagi hai, woh ek hissa hai humara, Aye-dost tumse lafzon ka hi nahin, Ruh ka bhi rishta hai humara. |
|